name-english.jpg

My Poetry in Roman

Home
Mukhtesar Tarruf - Brief Resume
My Father Rahmat Elahi Barq Azmi & His Poetry....
Personal Photo Album
Merii Chand Ghazlein....
Meri Nazmein...
Mouzuaati Shairi
My Poetry in Roman
Reviews/ Tassurat

ghazal-khushgawar.gif

mushaira-raahe-adab.gif.gif

Ghazal 

Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Usne kaha tha aaoonga kal
Ginta tha main ek ek pal

Kal aayaa aur guzar gaya
Aaya nahin woh jaan e ghazal

Dekh raha hoon uski raah
Pad gaye peshani par bal

Pooch raha hoon logon se
Jhank rahe hain sabhi baghal

Bool utha mujh se yeh raqeeb
Meri tarah ab tu bhi jal

Koi nahin hai uske siwa
Kare jo meri mushkil hal

Aati hai jab uski yaad
Man ho jata hai chanchal

Uska kheram e naaz na pooch
Khati ho jaise naagin bal

Soz e duroon jab laya rang
Shama e mohabbat gaii pighal

Aa gaya ab woh laut ke ghar
Uska iradah gayaa badal

Ahmad Ali Barqi hai shaad
Us ki tabiat gaii sanbhal

@##@

Ghazal
BAANG-e-JARAS

Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
Itna na kheencho Ho gaya Bas
Toot na Jaaye Taar-e-Nafas

Sheeren Bayani Uski Mere
Gholti hai KaanoN main Ras

Khati hai Bal Naagin ki Tarah
Darr hai na lein yeh Zulfein Das

Uska Manaa-na Mushkil Hai
Hota nahin woh Tas se Mas

Wada hai Uska Wada-e-Hashr
Abhi to Guzre hain Chand Baras

Phool unhoN ne Baant Liye
Mujhko Mile hain Khaar o Khas

Subh hoyi Ab Aankhein khol
Sunta nahin kya Bang e Jaras

Usne itne Dhaaye Zulam
Main ne kaha ab bas bas bas

Barqi ko jis se hai ummeed
Usko nahin aata hai taras
#@@# 

Gazal
Dr. Ahamad Ali Barqi Azmi

hain kisi kee yah karam farmaiyan
baj rahi hain zehan men shahanaiyan

usaka aana ek fale nek hai
zindagi men hain meri ranaiyan

murtaish ho jata hai tare vajood
jis ghadi leta hai vah angadaiyan

usakee chashame nilagoon hai aisi jheel
jisakee la mahadood hain gaharaiyan

chahata hai dil yah usamen doob jane
dilanashin hain yah khayal aaraiyan

mere pahaloo men nahin hota vah jab
hoti hain sabr aazama tanhaiyan

talkh ho jati hai meri zindagi
karati hain vahashatazada parachhaiyan

ishq hai soodo ziyan se beneyaz
ishq me purakaif hain rusavaiyan

valavala angez hain mere lie
usakee barqi hausala afazaiyan
@@@@@

Ghazal
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi

Meri janib nigahein uski hai duzdeedah duzdeedah
Junoon e shauq mein dil hai mera shoridah shoridah

Na poochh aye hamnashin kaise guzarti hai shab e Furqat
Main hoon Aazurdah khatir woh bhi hai ranjidah ranjidah

Gumaan hota hai har aahat pe mujhko uske aane kaa
Taswwur mein mere rahta hai woh khwabidah khwabidah

Woh pahle to na tha aisa use kya ho gaya aakhir
Nazar aata hai woh aksar mujhe sanjadah sanjidah

Na poochho meri is waraftagi e shauq ka aalam
Khlish dil ki mujhe kar deti hai namdidah namdidah

Bahu pur kaif tha uska tasvvur shaam e tanhaaii
Nigah e shauq hai ab muztarib nadidah nadidah

Safar dasht e tamanna ka bahut dushwar hai BARQI
Pahunch jaoonga main lekin wahaan laghzidah laghzidah
@@%%@@

Ghazal
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi

Main banker rah gaya hoon ek tamasha sab tamashaaii
Junoon e shauq hai yeh beneyaaz e khauf e ruswaaii

Kaheen aisa na ho yeh raaz tash az baam ho jaye
Karoon soz e duroon par kis tarah main khama farsaaii

Na pooch aye hamnasheen kaise guzarti hai shab e furqat
Bahut sabr aazmaa hota hai yeh ehsaas e tanhaaii

Achanak dawat e nazzarah jab deta hai woh mujhko
Nahin rahti basa auqaat mujh mein tab e goyaaii

Jidhar jao udhar wahshat gareebaangir hoti hai
Junoon e ishq ne mujhko bana dala hai saudaaii

Woh khud wada shikan hai phir bhi mujh se poochhta hai yeh
Kahaan itne dinon the aaj meri kaise yaad aaii

Kamaan e zindagi hai meri uske haath mein tab se
Hui jis roz se BARQI meri us se shenasaaii
@@##@@

GHAZAL
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Taswur mein tere kuche ki jab tasveer hoti hai
Meri nazron mein sair e wadi e Kashmir hoti hai

Suni tareef main neb hi hai yun to chashm e aahoo ki
Magar woh aankh kya kahiye jo aahoogir hoti hai

Ba’asaani bana leti hai beganon ko bhi apna
Mohabbat mein bala ki quaat e taskhir hoti hai

Koi kahta hai suuraj aur koi kahta hai chand usko
Kitaab e rukh ki bhi kya kya bayaan tafseer hoti hai

Ghazal pahle hadees e dilbari thi lekin ab is mein
Bayan nau e basher ke khwab ki taabir hoti hai

Junoon e intehaa e shauq mein Ahmad Ali Barqi
Jidhar jaao udhar wahshat garibaangir hoti hai
  @#@#@

GHAZAL
DR. AHMMAD ALI BARQI AZMI

Jalwagah e husn e fitrat hai nishan e zindagi
Su e manzil gamzan hai karwan e zindagi

Mahram e raz e azal hain rahrawan e raah e shauq
Ahl e dil jo hain samajhte hain zaban e zindagi

Hai junoon e inteha e shauq mera khizr e raah
Haath mein hai jiske ab meri kamaane e zndagi

Ek gham ho to bataaun tujhse main aye hamnashin
Lamha lamha de raha hoon imtehaan e zindagi

Ek toofan e hawadis aa rahaa hai baar baar
Ud na jaaye sar se mere saibaan e zindagi

Muntashir hai ab kitaab e zindagi ka har waraq
Hai mera sooz e duroon sharh e bayaan e zindagi

Rang jab layega mazloomon ki aanhoon ka asar
Gir padega us ke sar par aasmaan e zindagi

Zulm ka Ahmad Ali ho jaayega suraj ghuroob
Koi phir hoga na uska nauha khwan e zindagi
@@@@@

Ghazal
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Likh raha hoon main wahi padta hai jis se sabqa
Zindagi is daur mein dar asl hai ek haadsa

Tarjuman e zindgi hai ahd e hazir mein ghazal
Gardish e haalaat par asri adab hai tabsara

Zindah hote “Mir Anis” is daur mein to woh bhi aaj
Sirf likhte soz o saaz e zindagi ka marsia

Hai bahut sabar aazma us sangdil ka intezar
Aazmata hai mujhe hai mujh mein kitna hausla

Sirf mujhko murid e ilzam thahrata hai woh
De raha hai woh meri qurbaniyon ka yeh sila

Meri roodad e alam naguftah beh hai in dinon
Lamha lamha zindagi ka hai meri ek saneha

Sochta hoon kuchh likhoon phir sochta hoon kya likhoon
Band hai Ahmad Ali barqi mera ab naatqa
@@@@@

Ghazal
Dr. Ahamad Ali Barqi Azmi

safar naya zindagi ka tumako n ras aae to laut aana
feraq me mere nind tumako agar n aae to laut aana

nahin hai ab kaif koee baqi tumhare jane se zindagi men
tumhen bhi rah rah ke yad meri agar satae to laut aana

tere lie mera dar hamesha isi tarah se khula rahega
agar kabhi vapasi ka dil men khayal aae to laut aana

bagair tere bujha bujha hai bahar ka khushagavar manzar
tujhe bhi yah khushagavar manzar agar n bhae to laut aana

tumhari saragoshiyan abhi tak vah mere kanon men goonjati hain
hasin lamaha vah zindagi ka jo yad aae to laut aana

gazal sunaoon main kisako hamadam ki meri jane gazal tumhi ho
dobara vah nagamae mohabbat jo yad aae to laut aana

khayal isaka nahin ki duniya hamare bare men kya kahegi
jo koee tumase n apana ahade vafa nibhae to laut aana

hai din men be kaif qalabe muzatar bahut hi sabr aazama hain raten
tumhen bhi aise me yad meri agar satae to laut aana

tujhe bhi ehasas hoga kaise shabe judaee guzar rahi hai
sanbhalane se bhi dil jo tera sanbhal n pae to laut aana

kabhi n too rah sakega mere bagair Barqi mujhe yaqin hai
khayal mera jo tere dil se kabhi n jae to laut aana

Ghazal For Mushaira "BARKHA BAHAAR" By Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e bahaar
Aaise mein sabar aazma hai mujhko tera intezaar

Aa gaya hai barishon mein bheeg kar tujh par nikhaar
Hai nehaayat rooh parwar teri zulf e mushkbaar

Jalwah gaah e husn e fitrat hai yeh dilkash sabzah zaar
Sab se badh kar meri nazron mein hai lekin husn e yaar

Zindagi bekaif hai mere liye tere baghair
gulshan e hasti mein mere tere dam se hai bahaar

Hai judaai ka tasavvur aise mein sohaan e rooh
aa bhi ja jaan e Ghazal mausam hai behad khushgawaar

Ghunchah o gul hans rahe hain ro raha hai dil mera
Imtehaan leti hai mera gardish e lail o nahaar

Saaz e fitrat par ghazalkhwan hai bahaar e jaan fiza
Kaif o sarmasti se hain sarshaar BARQI barg o baar

GHAZAL

Concept n Design By : Munir Armaan Nasimi
(c) 2008-2013