Ghazal
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Usne
kaha tha aaoonga kal Ginta tha main ek ek pal
Kal aayaa aur guzar gaya Aaya nahin
woh jaan e ghazal
Dekh raha hoon uski raah Pad gaye peshani par bal
Pooch
raha hoon logon se Jhank rahe hain sabhi baghal
Bool utha mujh se yeh raqeeb Meri
tarah ab tu bhi jal
Koi nahin hai uske siwa Kare jo meri mushkil hal
Aati
hai jab uski yaad Man ho jata hai chanchal
Uska kheram e naaz na pooch Khati
ho jaise naagin bal
Soz e duroon jab laya rang Shama e mohabbat gaii pighal
Aa
gaya ab woh laut ke ghar Uska iradah gayaa badal
Ahmad Ali Barqi hai shaad Us ki
tabiat gaii sanbhal
@##@
Ghazal
BAANG-e-JARAS
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
Itna na kheencho Ho gaya Bas Toot
na Jaaye Taar-e-Nafas
Sheeren Bayani Uski Mere Gholti hai KaanoN main Ras
Khati hai Bal Naagin ki Tarah Darr
hai na lein yeh Zulfein Das
Uska Manaa-na Mushkil Hai Hota nahin woh Tas se Mas
Wada hai Uska Wada-e-Hashr Abhi
to Guzre hain Chand Baras
Phool unhoN ne Baant Liye Mujhko Mile hain Khaar o Khas
Subh hoyi Ab Aankhein khol Sunta
nahin kya Bang e Jaras
Usne itne Dhaaye Zulam Main ne kaha ab bas bas bas
Barqi ko jis se hai ummeed Usko
nahin aata hai taras
#@@#
Gazal Dr. Ahamad Ali Barqi Azmi
hain kisi kee yah karam farmaiyan baj rahi
hain zehan men shahanaiyan
usaka aana ek fale nek hai zindagi men hain meri ranaiyan
murtaish ho jata hai
tare vajood jis ghadi leta hai vah angadaiyan
usakee chashame nilagoon hai aisi jheel jisakee la mahadood hain
gaharaiyan
chahata hai dil yah usamen doob jane dilanashin hain yah khayal aaraiyan
mere pahaloo men nahin
hota vah jab hoti hain sabr aazama tanhaiyan
talkh ho jati hai meri zindagi karati hain vahashatazada parachhaiyan
ishq
hai soodo ziyan se beneyaz ishq me purakaif hain rusavaiyan
valavala angez hain mere lie usakee barqi hausala
afazaiyan
@@@@@
Ghazal
Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
Meri janib nigahein uski hai duzdeedah
duzdeedah Junoon e shauq mein dil hai mera shoridah shoridah
Na poochh aye hamnashin kaise guzarti hai shab e Furqat Main
hoon Aazurdah khatir woh bhi hai ranjidah ranjidah
Gumaan hota hai har aahat pe mujhko uske aane kaa Taswwur mein
mere rahta hai woh khwabidah khwabidah
Woh pahle to na tha aisa use kya ho gaya aakhir Nazar aata hai woh aksar
mujhe sanjadah sanjidah
Na poochho meri is waraftagi e shauq ka aalam Khlish dil ki mujhe kar deti hai namdidah
namdidah
Bahu pur kaif tha uska tasvvur shaam e tanhaaii Nigah e shauq hai ab muztarib nadidah nadidah
Safar
dasht e tamanna ka bahut dushwar hai BARQI Pahunch jaoonga main lekin wahaan laghzidah laghzidah @@%%@@
Ghazal Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi
Main banker rah gaya hoon ek tamasha sab tamashaaii Junoon e shauq hai yeh beneyaaz e khauf e ruswaaii
Kaheen
aisa na ho yeh raaz tash az baam ho jaye Karoon soz e duroon par kis tarah main khama farsaaii
Na pooch aye hamnasheen
kaise guzarti hai shab e furqat Bahut sabr aazmaa hota hai yeh ehsaas e tanhaaii
Achanak dawat e nazzarah jab deta
hai woh mujhko Nahin rahti basa auqaat mujh mein tab e goyaaii
Jidhar jao udhar wahshat gareebaangir hoti hai Junoon
e ishq ne mujhko bana dala hai saudaaii
Woh khud wada shikan hai phir bhi mujh se poochhta hai yeh Kahaan itne dinon
the aaj meri kaise yaad aaii
Kamaan e zindagi hai meri uske haath mein tab se Hui jis roz se BARQI meri us se shenasaaii
@@##@@
GHAZAL
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi
Taswur mein tere kuche ki jab tasveer hoti hai Meri nazron mein
sair e wadi e Kashmir hoti hai
Suni tareef main neb hi hai yun to chashm e aahoo ki Magar woh aankh kya kahiye jo
aahoogir hoti hai
Ba’asaani bana leti hai beganon ko bhi apna Mohabbat mein bala ki quaat e taskhir hoti hai
Koi
kahta hai suuraj aur koi kahta hai chand usko Kitaab e rukh ki bhi kya kya bayaan tafseer hoti hai
Ghazal pahle
hadees e dilbari thi lekin ab is mein Bayan nau e basher ke khwab ki taabir hoti hai
Junoon e intehaa e shauq mein
Ahmad Ali Barqi Jidhar jaao udhar wahshat garibaangir hoti hai @#@#@
GHAZAL DR. AHMMAD ALI BARQI
AZMI
Jalwagah e husn e fitrat hai nishan e zindagi Su e manzil gamzan hai karwan e zindagi
Mahram
e raz e azal hain rahrawan e raah e shauq Ahl e dil jo hain samajhte hain zaban e zindagi
Hai junoon e inteha e
shauq mera khizr e raah Haath mein hai jiske ab meri kamaane e zndagi
Ek gham ho to bataaun tujhse main aye hamnashin Lamha
lamha de raha hoon imtehaan e zindagi
Ek toofan e hawadis aa rahaa hai baar baar Ud na jaaye sar se mere saibaan
e zindagi
Muntashir hai ab kitaab e zindagi ka har waraq Hai mera sooz e duroon sharh e bayaan e zindagi
Rang
jab layega mazloomon ki aanhoon ka asar Gir padega us ke sar par aasmaan e zindagi
Zulm ka Ahmad Ali ho jaayega
suraj ghuroob Koi phir hoga na uska nauha khwan e zindagi
@@@@@
Ghazal Dr.Ahmad Ali Barqi
Azmi
Likh raha hoon main wahi padta hai jis se sabqa Zindagi is daur
mein dar asl hai ek haadsa
Tarjuman e zindgi hai ahd e hazir mein ghazal Gardish e haalaat par asri adab hai tabsara
Zindah
hote “Mir Anis” is daur mein to woh bhi aaj Sirf likhte soz o saaz e zindagi ka marsia
Hai bahut sabar
aazma us sangdil ka intezar Aazmata hai mujhe hai mujh mein kitna hausla
Sirf mujhko murid e ilzam thahrata hai
woh De raha hai woh meri qurbaniyon ka yeh sila
Meri roodad e alam naguftah beh hai in dinon Lamha lamha zindagi
ka hai meri ek saneha
Sochta hoon kuchh likhoon phir sochta hoon kya likhoon Band hai Ahmad Ali barqi mera ab naatqa
@@@@@
Ghazal Dr.
Ahamad Ali Barqi Azmi
safar naya zindagi ka tumako
n ras aae to laut aana feraq me mere nind tumako agar n aae to laut aana
nahin hai ab kaif koee baqi tumhare jane
se zindagi men tumhen bhi rah rah ke yad meri agar satae to laut aana
tere lie mera dar hamesha isi tarah se khula
rahega agar kabhi vapasi ka dil men khayal aae to laut aana
bagair tere bujha bujha hai bahar ka khushagavar manzar tujhe
bhi yah khushagavar manzar agar n bhae to laut aana
tumhari saragoshiyan abhi tak vah mere kanon men goonjati hain hasin
lamaha vah zindagi ka jo yad aae to laut aana
gazal sunaoon main kisako hamadam ki meri jane gazal tumhi ho dobara
vah nagamae mohabbat jo yad aae to laut aana
khayal isaka nahin ki duniya hamare bare men kya kahegi jo koee tumase
n apana ahade vafa nibhae to laut aana
hai din men be kaif qalabe muzatar bahut hi sabr aazama hain raten tumhen
bhi aise me yad meri agar satae to laut aana
tujhe bhi ehasas hoga kaise shabe judaee guzar rahi hai sanbhalane
se bhi dil jo tera sanbhal n pae to laut aana
kabhi n too rah sakega mere bagair Barqi mujhe yaqin hai khayal mera
jo tere dil se kabhi n jae to laut aana
Khil utha dil misl e ghunchah aate hi fasl e
bahaar Aaise mein sabar aazma hai mujhko tera intezaar
Aa gaya hai barishon mein bheeg kar tujh par nikhaar Hai
nehaayat rooh parwar teri zulf e mushkbaar
Jalwah gaah e husn e fitrat hai yeh dilkash sabzah zaar Sab se badh kar
meri nazron mein hai lekin husn e yaar
Zindagi bekaif hai mere liye tere baghair gulshan e hasti mein mere tere
dam se hai bahaar
Hai judaai ka tasavvur aise mein sohaan e rooh aa bhi ja jaan e Ghazal mausam hai behad khushgawaar
Ghunchah
o gul hans rahe hain ro raha hai dil mera Imtehaan leti hai mera gardish e lail o nahaar
Saaz e fitrat par ghazalkhwan
hai bahaar e jaan fiza Kaif o sarmasti se hain sarshaar BARQI barg o baar
|